Khudi Ho ilm Say Mohkam To Ghairat-e-Jibril

KHudi ho ilm se mohkim to ghairat-e-jibril Agar ho ishq se mohkim to sur-e-israfilĀ Allama Iqbal Poetry

KHudi ho ilm se mohkim to ghairat-e-jibril
Agar ho ishq se mohkim to sur-e-israfil

Azab-e-danish-e-hazir se ba-khabar hun main
Ke main is aag mein Dala gaya hun misl-e-Khalil
Fareb-KHurda-e-manzil hai karwan warna
Zyyaada rahat-e-manzil se hai nashat-e-rahil
Nazar nahin to mere halqa-e-suKHan mein na baiTh
Ke nukta-ha-e-KHudi hain misal-e-tegh-e-asil
Mujhe wo dars-e-farng aaj yaad aate hain
Kahan huzur ki lazzat kahan hijab-e-dalil
Andheri shab hai juda apne qafile se hai tu
Tere liye hai mera shola-e-nawa qindil
Gharib o sada o rangin hai dastan-e-haram
Nihayat is ki husain ibtida hai ismail

UrduPoetryLoves.com Provides best Poetry Images, Include Sad, Love, Romantic, Attitude and different authors poetry include, The Legend Allama Iqbal, Meer Takis Meer, Ghalib, Ahmad Faraz, Parveen Shakir, Jaun Elia, e.t.c. Copyright 2018-2019