Dekh kar dil-kashi zamane ki
Aarzu hai fareb khane ki
Ae gham-e-zindagi na ho naraaz
Mujh ko aadat hai muskurane ki
Zulmaton se na Dar ke raste mein
Roshni hai sharab-Khane ki
Aa tere gesuon ko pyar karun
Raat hai mishalen jalane ki
Kis ne saghar ‘adam’ buland kiya
Tham gain gardishen zaamane ki
Category: Abdul Hameed Adam Ghazal
This section is about Ghazals of Abdul hameed Adam, Urdu Poetry, Love and Sad Poetry Images, Romantic, Life,
Aaj phir rooh mein ek barq si lehrai hai
Aaj phir rooh mein ek barq si lahrati hai
Dil ki gehrai se rone ki sada aati hai
Yun chaTakti hain KHarabaat mein jaise kaliyan
Tishnagi saghar-e-labrez se Takraati hai
Shola-e-gham ki lapak aur mera nazuk sa mizaj
Mujh ko fitrat ke rawaiyye pe hansi aati hai
Maut ek amr-e-musallam hai to phir ai saqi
Rooh kyun zist ke aalam se ghabraati hai
So bhi ja ai dil-e-majruh bahut raat gai
Ab to rah rah ke sitaron ko bhi neend aati hai
Aur to dil ko nahi hai koi takleef ‘adam’
Han zara nabz kisi waqt Thahar jati hai
Aankhon se teri zulf ka saya nahin jata
Aankhon se teri zulf ka saya nahin jata
Aaram jo dekha hai bhulaya nahin jata
Allah-re nadan jawani ki umangen!
Jaise koi bazar sajaya nahin jata
Aankhon se pilate raho saghar mein na Dalo
Ab hum se koi jam uThaya nahin jata
Bole koi hans kar to chhirak dete hain jaan bhi
Lekin koi ruThe to manaya nahin jata
Jis tar ko chheren wahi fariyaad-ba-lab hai
Ab hum se ‘adam’ saz bajaya nahin jata
Un ko ahd-e-shabab mein dekha
Un ko ahd-e-shabab mein dekha
Chandni ko sharab mein dekha
Aankh ka Aetbaar kya karte
Jo bhi dekha wo Khawab mein dekha
Dagh sa mahtab mein paya
Zakhm sa aftab mein dekha
Jam la kar Karib aankhon ke
Aap ne kuchh sharab mein dekha
Kis ne chera tha saz-e-masti ko?
Aik shoala rubab mein dekha
Log kuchh mutmain bhi thay phir bhi
Jis ko dekha Azaab mein dekha
Hijr ki raat so gae the ‘adam’
Subh-e-mahshar ko Khawab mein dekha