Phir Charagh-e-Lala Se Roshan Huye Koho Daman

Allama Iqbal Shayari

Phir charagh-e-lala se roshan huye koh o daman
Mujh ko phir naghmon pe uksane laga murgh-e-chamanPhool hain sehraa mein ya pariyan qatar andar qatar
Urre urre neelay neelay peelay peelay pairahan
Barg-e-gul par rakh gayi shabnam ka moti baad-e-subh
Aur chamkati hai us moti ko suraj ki kiran
Husn-e-be-parwa ko apni be-naqabi ke liye
Hon agar shahron se ban pyare to shahr achchhe ki ban
Apne mann mein doob kar pa ja suragh-e-zindagi
Tu agar mera nahin banta na ban apna to ban
Mann ki duniya mann ki duniya soz o masti jazb o shauq
Tan ki duniya tan ki duniya sud o sauda makr o fan
Mann ki daulat hath aati hai to phir jati nahin
Tan ki daulat chhanw hai aata hai dhan jata hai dhan
Mann ki duniya mein na paya main ne afrangi ka raj
Mann ki duniya mein na dekhe main ne shaiKH o barhaman
Pani pani kar gai mujko qalandar ki ye baat
Tu jhuka jab ghair ke aage na mann tera na tan

UrduPoetryLoves.com Provides best Poetry Images, Include Sad, Love, Romantic, Attitude and different authors poetry include, The Legend Allama Iqbal, Meer Takis Meer, Ghalib, Ahmad Faraz, Parveen Shakir, Jaun Elia, e.t.c. Copyright 2018-2019