Majnu Ne Shehar Chora To Sahara Bhi Chor De

Majnu Ne Shehar Chora To Sahara Bhi Chor De
Nazzare ki hawas ho to laila bhi chor de
Waiz kamal-e-tark se milti hai yan murad
Duniya jo chor di hai to uqba bhi chor de
Taqlid ki rawish se to behtar hai KHud-kushi
Rasta bhi Dhund Khizr ka sauda bhi chor de
Manind-e-KHama teri zuban par hai harf-e-ghair
Begana shai pe nazish-e-beja bhi chor de
Lutf-e-kalam kya jo na ho dil mein dard-e-ishq
Bismil nahi hai tu to tarapna bhi chor de
Shabnam ki tarah phoolon pe ro aur chaman se chal
Iss bagh mein qayam ka sauda bhi chor de
Hai aashiqi mein rasm alag sab se baiThna
ButKhana bhi haram bhi kalisa bhi chor de
Sauda-gari nahin ye ibadat Khuda ki hai
Ae be-Khabar jaza ki tamanna bhi chor de
Acha hai dil ke sath rahe pasban-e-aqal
Lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chor de
Jina wo kya jo ho nafas-e-ghair par madar
Shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chor de
Shokhi si hai sawal-e-mukarrar mein ae kalim
Shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chor de
Waiz subut Laye jo mai ke jawaz mein
‘Iqbal’ ko ye zid hai ki pina bhi chor de

UrduPoetryLoves.com Provides best Poetry Images, Include Sad, Love, Romantic, Attitude and different authors poetry include, The Legend Allama Iqbal, Meer Takis Meer, Ghalib, Ahmad Faraz, Parveen Shakir, Jaun Elia, e.t.c. Copyright 2018-2019