Ae Tair-e-Lahoti Us Rizq se Mout Achi

Allama Iqbal Ae tair-e-lahuti us rizq se maut achi Full Poetry

Jab Ishq syekhata hai Aadab-e-KHud-agahi
Khulte hain ghulamon per asrar-e-shahanshahi‘Attar’ ho ‘Rumi’ ho ‘Raazi’ ho ‘Ghazali’ ho
Kuch hath nahi aata be-ah-e-sahar-gahi
Naumid na ho in sy ae rahbar-e-farzana
Kam-kosh toh hain lekin be-zauq nahi rahi
Ae Tair-e-Lahoti Us Rizq se Mout Achi
Jis rizq sy aati ho parwaz mein kotahi
Dara o sikandar sy wo mard-e-faqir aula
Ho jis ki faqiri mein bu-e-asadul-lahai
Aain-e-jawan-mardan haq-goi o be-baki
Allah ke sheron ko aati nahin rubahi

UrduPoetryLoves.com Provides best Poetry Images, Include Sad, Love, Romantic, Attitude and different authors poetry include, The Legend Allama Iqbal, Meer Takis Meer, Ghalib, Ahmad Faraz, Parveen Shakir, Jaun Elia, e.t.c. Copyright 2018-2019